nai ada nae andaz mein sadi guzre
na.ī adā na.e andāz meñ sadī guzre
ḳhizāñ kī rut meñ bhī sā'at bahār sī guzre
bachā thā tanhā lahū dil kā pī liyā maiñ ne
majāl kyā mire hoñToñ se tishnagī guzre
koī sulagtī añgīThī bhī mere haath pe rakh
mire ḳhudā mirī āñkhoñ se jab namī guzre
ye sarfarāzī-e-nuqta to pā hī lenā hai
hazār raah meñ dīvār-e-āhanī guzre
jo zaḳhm-e-dil haiñ vo nāgāh phuul ban jaa.eñ
kuchh is adā se bhī bād-e-sabā kabhī guzre
chalo unhīñ ko badal leñge dushmanī meñ ham
vo 'ahd jo kabhī az-rāh-e-dostī guzre
mirī tabāhī-e-dil kā sabab yahī hai 'shamīm'
ki mere dil se jo guzre vo sāzishī guzre
nai ada nae andaz mein sadi guzre
KHizan ki rut mein bhi sa'at bahaar si guzre
bacha tha tanha lahu dil ka pi liya main ne
majal kya mere honTon se tishnagi guzre
koi sulagti angiThi bhi mere hath pe rakh
mere KHuda meri aankhon se jab nami guzre
ye sarfaraazi-e-nuqta to pa hi lena hai
hazar rah mein diwar-e-ahani guzre
jo zaKHm-e-dil hain wo nagah phul ban jaen
kuchh is ada se bhi baad-e-saba kabhi guzre
chalo unhin ko badal lenge dushmani mein hum
wo 'ahd jo kabhi az-rah-e-dosti guzre
meri tabahi-e-dil ka sabab yahi hai 'shamim'
ki mere dil se jo guzre wo sazishi guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.