aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise

Mahir Abdul Hayee

nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise

Mahir Abdul Hayee

MORE BYMahir Abdul Hayee

    na.ī tahzīb se bachchoñ ko bachā.ūñ kaise

    ḳhud to bigḌā huuñ zamāne ko banā.ūñ kaise

    vo na dekhe merī jānib to nahīñ us ḳhatā

    maiñ añdhere meñ paḌā huuñ nazar aa.uuñ kaise

    mere āñgan meñ to aa.ī nahīñ mauj-e-bahār

    koī phūloñ se bharā giit sunā.ūñ kaise

    chāhtā to huuñ ki dekhūñ pas-e-parda kyā hai

    dastaras jis pe na ho us ko uThā.ūñ kaise

    par nikalte koī us ko katar detā hai

    apne bachchoñ ko fazāoñ meñ uḌā.ūñ kaise

    vaqt mahdūd diyā kaam diyā lā-mahdūd

    zindagī bol tirā qarz chukā.ūñ kaise

    jism par choT lagī ho to dikhā.ūñ 'māhir'

    dil pe jo choT lagī hai vo dikhā.ūñ kaise

    nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise

    KHud to bigDa hun zamane ko banaun kaise

    wo na dekhe meri jaanib to nahin us ki KHata

    main andhere mein paDa hun nazar aaun kaise

    mere aangan mein to aai hi nahin mauj-e-bahaar

    koi phulon se bhara git sunaun kaise

    chahta to hun ki dekhun pas-e-parda kya hai

    dastaras jis pe na ho us ko uThaun kaise

    par nikalte hi koi us ko katar deta hai

    apne bachchon ko fazaon mein uDaun kaise

    waqt mahdud diya kaam diya la-mahdud

    zindagi bol tera qarz chukaun kaise

    jism par choT lagi ho to dikhaun 'mahir'

    dil pe jo choT lagi hai wo dikhaun kaise

    Source:

    Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 63)

    • Author: Mahir Abdul Hayee
      • Edition: 2008
      • Publisher: Bazme-e-Urdu,Mau
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now