naKHl-e-ummid pe hum sabr ka phal dekhenge
naḳhl-e-ummīd pe ham sabr kā phal dekheñge
aaj agar dekh na pā.eñge to kal dekheñge
chashm-e-nazzāra milī hai to ba-har-sūrat ham
ādam-e-ḳhāk ko masrūf-e-‘amal dekheñge
varaq-e-zīst pe likkheñge kahānī apnī
nazm-e-hastī ko kisī roz badal dekheñge
saath rakkheñge use baaġh kī tanhā.ī meñ
aur favvāre se girtā huā jal dekheñge
muddatoñ baa'd koī zamzama-pardāz huā
aaj ham log tilismāt-e-ġhazal dekheñge
lauT kar koī jahāñ se nahīñ aatā 'sarvat'
unhīñ rāhoñ pe kisī vaqt nikal dekheñge
naKHl-e-ummid pe hum sabr ka phal dekhenge
aaj agar dekh na paenge to kal dekhenge
chashm-e-nazzara mili hai to ba-har-surat hum
aadam-e-KHak ko masruf-e-‘amal dekhenge
waraq-e-zist pe likkhenge kahani apni
nazm-e-hasti ko kisi roz badal dekhenge
sath rakkhenge use bagh ki tanhai mein
aur fawware se girta hua jal dekhenge
muddaton ba'd koi zamzama-pardaz hua
aaj hum log tilismat-e-ghazal dekhenge
lauT kar koi jahan se nahin aata 'sarwat'
unhin rahon pe kisi waqt nikal dekhenge
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 49)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.