namkin hai kahin to kahin be-namak nami
namkīn hai kahīñ to kahīñ be-namak namī
utrī huī hai mujh meñ baḌī duur tak namī
hotā hai hijr pāñch 'anāsir pe mushtamil
ummīd intizār udāsī kasak namī
phir sochā ‘an-qarīb tahī-chashm ho na jā.ūñ
pahle to maiñ luTātā rahā be-dhaḌak namī
mujh meñ chhupe hunar ko kiyā ġham ne yuuñ 'ayāñ
miTTī pe gir ke jaise uḌā de mahak namī
sākin haiñ chup haiñ zard haiñ maiñ aur ye pahāḌ
ham meñ bas ek chiiz nahīñ mushtarak namī
taḳhlīq ke liye ye fazā sāzgār hai
halkī phuhār ḳhāmushī ḳhālī saḌak namī
girye ne yuuñ bhare haiñ hamārī jalan meñ rang
jaise kiran ko chhū ke banā de dhanak namī
namkin hai kahin to kahin be-namak nami
utri hui hai mujh mein baDi dur tak nami
hota hai hijr panch 'anasir pe mushtamil
ummid intizar udasi kasak nami
phir socha ‘an-qarib tahi-chashm ho na jaun
pahle to main luTata raha be-dhaDak nami
mujh mein chhupe hunar ko kiya gham ne yun 'ayan
miTTi pe gir ke jaise uDa de mahak nami
sakin hain chup hain zard hain main aur ye pahaD
hum mein bas ek chiz nahin mushtarak nami
taKHliq ke liye ye faza sazgar hai
halki phuhaar KHamushi KHali saDak nami
girye ne yun bhare hain hamari jalan mein rang
jaise kiran ko chhu ke bana de dhanak nami
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 25)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.