Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqab chehre pe baaten luab-dar kare

Dinesh Kumar

naqab chehre pe baaten luab-dar kare

Dinesh Kumar

MORE BYDinesh Kumar

    naqāb chehre pe bāteñ luāb-dār kare

    vo rahnumā hai siyāsat kārobār kare

    ye sirf ḳhvāboñ kitāboñ baat lagtī hai

    ki ik ġharīb imdād māl-dār kare

    na.e zamāne rahzan nayā salīqa hai

    vo lauTtā hai magar pahle hoshiyār kare

    charāġh le ke bhī DhūñDheñge to milegī nahīñ

    jahāñ meñ ek bhī hastī jo maañ pyaar kare

    havā ke zor se kashtiyāñ nahīñ chaltīñ

    ki nāḳhudā bhī ḳhudā se zarā guhār kare

    vo gul-badan hai mukammal bahār se baḌh kar

    bas us zikr mausam ko ḳhush-gavār kare

    na jaane kaun bastī hai bāshinda

    tujhe 'dinesh' koī ġham na be-qarār kare

    naqab chehre pe baaten luab-dar kare

    wo rahnuma hai siyasat ka karobar kare

    ye sirf KHwabon kitabon ki baat lagti hai

    ki ek gharib ki imdad mal-dar kare

    nae zamane ka rahzan naya saliqa hai

    wo lauTta hai magar pahle hoshiyar kare

    charagh le ke bhi DhunDhenge to milegi nahin

    jahan mein ek bhi hasti jo man sa pyar kare

    hawa ke zor se hi kashtiyan nahin chaltin

    ki naKHuda bhi KHuda se zara guhaar kare

    wo gul-badan hai mukammal bahaar se baDh kar

    bas us ka zikr hi mausam ko KHush-gawar kare

    na jaane kaun si basti ka tu hai bashinda

    tujhe 'dinesh' koi gham na be-qarar kare

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now