nasKH-o-nisyan ban ke phail gai
nasḳh-o-nisyān ban ke phail ga.ī
ḳhaak insān ban ke phail ga.ī
hasrat-e-shauq-e-dīd manzil par
chashm-e-hairān ban ke phail ga.ī
merī ḳhāmoshī bazm-e-yārāñ meñ
ek e'lān ban ke phail ga.ī
ḳhvāhishoñ kī kasak na jaane kab
mujh meñ sartān ban ke phail ga.ī
ek zanjīr chand harfoñ kī
jaise zindān ban ke phail ga.ī
had se guzrī to tang-dastī mirī
sāz-o-sāmān ban ke phail ga.ī
shahr-e-hastī meñ ḳhū-e-gumnāmī
merī pahchān ban ke phail ga.ī
har talab un ke āstāñ pe 'amar'
husn-e-imkān ban ke phail ga.ī
nasKH-o-nisyan ban ke phail gai
KHak insan ban ke phail gai
hasrat-e-shauq-e-did manzil par
chashm-e-hairan ban ke phail gai
meri KHamoshi bazm-e-yaran mein
ek e'lan ban ke phail gai
KHwahishon ki kasak na jaane kab
mujh mein sartan ban ke phail gai
ek zanjir chand harfon ki
jaise zindan ban ke phail gai
had se guzri to tang-dasti meri
saz-o-saman ban ke phail gai
shahr-e-hasti mein KHu-e-gumnami
meri pahchan ban ke phail gai
har talab un ke aastan pe 'amar'
husn-e-imkan ban ke phail gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.