nazar se KHas thi jo sholagi wo aam hui
nazar se ḳhaas thī jo sho'lagī vo 'aam huī
kahāñ kī āb-o-havā kis safar ke naam huī
maiñ jaise ruk sā gayā phir kināra-e-jāñ par
vo lahr jab mirī āñkhoñ se ham-kalām huī
ye ḳhvāb jaise kisī sā'at-e-digar ke haiñ ḳhvāb
ye shaam apne qarīne meñ aisī shaam huī
maiñ dil kī oT se sab sun rahā thā aur chup thā
navāh-e-jāñ meñ ye kaisī nidā tamām huī
ye raushnī ki jise likh rahā huuñ naġhma-e-nūr
mujhī meñ nazm huī nazm bhī mudām huī
ġhurūb-e-mehr ne ḳhvāboñ ko raah dī āḳhir
dayār-e-dil meñ bahut din ke baa'd shaam huī
nazar se KHas thi jo sho'lagi wo 'am hui
kahan ki aab-o-hawa kis safar ke nam hui
main jaise ruk sa gaya phir kinara-e-jaan par
wo lahr jab meri aankhon se ham-kalam hui
ye KHwab jaise kisi sa'at-e-digar ke hain KHwab
ye sham apne qarine mein aisi sham hui
main dil ki oT se sab sun raha tha aur chup tha
nawah-e-jaan mein ye kaisi nida tamam hui
ye raushni ki jise likh raha hun naghma-e-nur
mujhi mein nazm hui nazm bhi mudam hui
ghurub-e-mehr ne KHwabon ko rah di aaKHir
dayar-e-dil mein bahut din ke ba'd sham hui
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 59)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.