neki badi mein paD ke pareshan ho gaya
nekī badī meñ paḌ ke pareshān ho gayā
dil kārobār-e-zīst meñ hairān ho gayā
jaatī bahār le ga.ī sabza daraḳht kā
daur-e-ḳhizāñ meñ TūTnā āsān ho gayā
kaisī 'ajīb bastiyāñ tā'mīr ho ga.iiñ
ye kyā huā ki shahr bayābān ho gayā
ummīd kā khañDar thā jo dil meñ vo Dhah gayā
ye dasht aaj Thiik se vīrān ho gayā
ik zaḳhm kā charāġh thā raushan vo bujh gayā
suunā hamāre dard kā aivān ho gayā
jo ġhalba-e-junūñ meñ kahā darj kar liyā
dīvāna aaj sāhib-e-dīvān ho gayā
neki badi mein paD ke pareshan ho gaya
dil karobar-e-zist mein hairan ho gaya
jati bahaar le gai sabza daraKHt ka
daur-e-KHizan mein TuTna aasan ho gaya
kaisi 'ajib bastiyan ta'mir ho gain
ye kya hua ki shahr bayaban ho gaya
ummid ka khanDar tha jo dil mein wo Dhah gaya
ye dasht aaj Thik se viran ho gaya
ek zaKHm ka charagh tha raushan wo bujh gaya
suna hamare dard ka aiwan ho gaya
jo ghalba-e-junun mein kaha darj kar liya
diwana aaj sahib-e-diwan ho gaya
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 75)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.