nigah-e-shauq se parda haTa gaya koi
nigāh-e-shauq se parda haTā gayā koī
mujhe bhī apnī tarah kā banā gayā koī
utar rahā hai mirī soch ke tarannum meñ
mire ḳhayāl ke andar samā gayā koī
kahāñ pata thā mujhe dasht ke fasāne kā
visāl-o-hijr kī bāteñ sikhā gayā koī
agarche bol rahā thā vo sirf āñkhoñ se
dil-e-ḳharāb kā qissa sunā gayā koī
mujhe ḳhabar hai mirā saath vo nahīñ degā
sitāre paḌhne kā māhir banā gayā koī
sarāb hai yā mirī aarzū mujassam hai
libās-e-ḳhāk meñ dhartī pe aa gayā koī
fareb-e-zāt meñ rahne do sone do mujh ko
yuuñ merī aañkh se parda uThā gayā koī
ye hausle bhī 'atā haiñ rumūz-e-ulfat ke
junūñ meñ dasht ko paanī pilā gayā koī
lagī thī aag yahāñ vasvasoñ kī muddat se
mire bharose kā dāman jalā gayā koī
basā huā hai mirī aañkh meñ salīqe se
mirī nazar ke darīche sajā gayā koī
gulābī rang mire ḳhvāb meñ utar aaya
mujhe gulāb kā paikar banā gayā koī
'adū kī niiñd kī duniyā meñ bhī rasā.ī hai
tumhāre ḳhvāb se aa kar uThā gayā koī
jo baat sunñe ko tarse the kaan 'nīlam' ke
sunānī aap ne thī aur sunā gayā koī
nigah-e-shauq se parda haTa gaya koi
mujhe bhi apni tarah ka bana gaya koi
utar raha hai meri soch ke tarannum mein
mere KHayal ke andar sama gaya koi
kahan pata tha mujhe dasht ke fasane ka
visal-o-hijr ki baaten sikha gaya koi
agarche bol raha tha wo sirf aankhon se
dil-e-KHarab ka qissa suna gaya koi
mujhe KHabar hai mera sath wo nahin dega
sitare paDhne ka mahir bana gaya koi
sarab hai ya meri aarzu mujassam hai
libas-e-KHak mein dharti pe aa gaya koi
fareb-e-zat mein rahne do sone do mujh ko
yun meri aankh se parda uTha gaya koi
ye hausle bhi 'ata hain rumuz-e-ulfat ke
junun mein dasht ko pani pila gaya koi
lagi thi aag yahan waswason ki muddat se
mere bharose ka daman jala gaya koi
basa hua hai meri aankh mein saliqe se
meri nazar ke dariche saja gaya koi
gulabi rang mere KHwab mein utar aaya
mujhe gulab ka paikar bana gaya koi
'adu ki nind ki duniya mein bhi rasai hai
tumhaare KHwab se aa kar uTha gaya koi
jo baat sunne ko tarse the kan 'nilam' ke
sunani aap ne thi aur suna gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.