nigahen sab ki hain shahin ki uDanon par
nigāheñ sab kī haiñ shāhīn kī uḌānoñ par
shu.ūr vaale parinde haiñ bas nishānoñ par
hañsī bhī aatī hai sarkār ke bahānoñ par
kahīñ namāz pe pahrā kahīñ azānoñ par
javān jin bhī gharoñ meñ shu.ūr vaale haiñ
lagā.ī jaatī hai pābandī un gharānoñ par
bane hue haiñ jo zīnat tamām gulshan kī
giregī bijlī faqat aise āshiyānoñ par
ka.ī diloñ ko pahuñchtī hai Thes tab 'sājid'
lagā.e jaate haiñ ilzām jab javānoñ par
nigahen sab ki hain shahin ki uDanon par
shuur wale parinde hain bas nishanon par
hansi bhi aati hai sarkar ke bahanon par
kahin namaz pe pahra kahin azanon par
jawan jin bhi gharon mein shuur wale hain
lagai jati hai pabandi un gharanon par
bane hue hain jo zinat tamam gulshan ki
giregi bijli faqat aise aashiyanon par
kai dilon ko pahunchti hai Thes tab 'sajid'
lagae jate hain ilzam jab jawanon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.