nigahon se dil mein samane lage ho
nigāhoñ se dil meñ samāne lage ho
mohabbat kā jaadū jagāne lage ho
miTāne lage ho mirā naqsh-e-hastī
javānī ko be-ḳhud banāne lage ho
tasavvur ke ḳhākoñ meñ bharne lage rang
umīdoñ kī bastī basāne lage ho
rag-e-jāñ meñ utre ho naġhmoñ kī lai meñ
mirī ruuh meñ gungunāne lage ho
mujhe le chale ho kaThin vādiyoñ meñ
tamāshā-e-manzil dikhāne lage ho
gumāñ bhī na ho jab mujhe zindagī kā
mire paas us vaqt aane lage ho
mujhe bhī lage pyaar se dekhne tum
mujhe bhī 'nazar' āzmāne lage ho
nigahon se dil mein samane lage ho
mohabbat ka jadu jagane lage ho
miTane lage ho mera naqsh-e-hasti
jawani ko be-KHud banane lage ho
tasawwur ke KHakon mein bharne lage rang
umidon ki basti basane lage ho
rag-e-jaan mein utre ho naghmon ki lai mein
meri ruh mein gungunane lage ho
mujhe le chale ho kaThin wadiyon mein
tamasha-e-manzil dikhane lage ho
guman bhi na ho jab mujhe zindagi ka
mere pas us waqt aane lage ho
mujhe bhi lage pyar se dekhne tum
mujhe bhi 'nazar' aazmane lage ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.