nigar-KHana-e-arz-o-sama mila ki nahin
nigār-ḳhāna-e-arz-o-samā milā ki nahīñ
agar milā to koī dilrubā milā ki nahīñ
shikasta-dil ko zarūrat hai khilkhilāne kī
payām-e-gul se tujhe hausla milā ki nahīñ
siyāh niiñd meñ jalte hue charāġhoñ ko
kisī galī meñ koī jāgtā milā ki nahīñ
ruke hue to ruke hī raheñge tā-dam-e-marg
jo chal paḌe the unheñ rāsta milā ki nahīñ
kisī ko phuul khilāte hue mire ghar meñ
koī damaktā huā aa.ina milā ki nahīñ
shaguft-e-ḳhvāb se bhīgī huī in āñkhoñ meñ
koī sitāra mire kaam kā milā ki nahīñ
ġhazal ko sab ke liye aa.ina banāte hue
kisī parī se tirā qāfiya milā ki nahīñ
rukā thā aur kahāñ kārvān-e-rāhat-e-ishq
phir us ke ba.ad vo shīrīñ-adā milā ki nahīñ
savāl karte haiñ aksar mire adū 'sājid'
ki is nagar meñ koī āshnā milā ki nahīñ
nigar-KHana-e-arz-o-sama mila ki nahin
agar mila to koi dilruba mila ki nahin
shikasta-dil ko zarurat hai khilkhilane ki
payam-e-gul se tujhe hausla mila ki nahin
siyah nind mein jalte hue charaghon ko
kisi gali mein koi jagta mila ki nahin
ruke hue to ruke hi rahenge ta-dam-e-marg
jo chal paDe the unhen rasta mila ki nahin
kisi ko phul khilate hue mere ghar mein
koi damakta hua aaina mila ki nahin
shaguft-e-KHwab se bhigi hui in aankhon mein
koi sitara mere kaam ka mila ki nahin
ghazal ko sab ke liye aaina banate hue
kisi pari se tera qafiya mila ki nahin
ruka tha aur kahan karwan-e-rahat-e-ishq
phir us ke baad wo shirin-ada mila ki nahin
sawal karte hain aksar mere adu 'sajid'
ki is nagar mein koi aashna mila ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.