Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah teri ka ek zaKHmi na tanha dil hamara hai

Abroo Shah Mubarak

nigah teri ka ek zaKHmi na tanha dil hamara hai

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    nigah terī ik zaḳhmī na tanhā dil hamārā hai

    jagat saarā tirī in shoḳh do añkhiyoñ maarā hai

    hue haiñ āshiqāñ fauj meñ ham sāhib-e-naubat

    bajāyā aah ke Dañke setī dil naqārā hai

    hamārā dīn-o-maz.hab ai sajan terī itā.at hai

    ḳhudā kyuuñ na ho bandā ki jin tujh kuuñ sañvārā hai

    bujhā ai bevafā paanī suuñ apnī mehrbānī ke

    dahaktā dil manīñ mere tire ġham añgārā hai

    ḳhajil ho kar mirī añjhuvāñ jhaḌ señ abr paanī ho

    taḌapnā dekh kar dil hamārā barq haarā hai

    hameñ to raat din dil siiñ tumhārī yaad hai pyāre

    tuman neñ is qadar pyāre haman kuuñ kyuuñ bisārā hai

    nazar karnā karam siiñ 'ābrū' pe tum kuuñ lāzim hai

    kisī laa.eq nahīñ to kyā huā āḳhir tumhārā hai

    nigah teri ka ek zaKHmi na tanha dil hamara hai

    jagat sara teri in shoKH do ankhiyon ka mara hai

    hue hain aashiqan ki fauj mein hum sahib-e-naubat

    bajaya aah ke Danke seti dil ka naqara hai

    hamara din-o-mazhab ai sajan teri itaat hai

    KHuda ka kyun na ho banda ki jin tujh kun sanwara hai

    bujha ai bewafa pani sun apni mehrbani ke

    dahakta dil manin mere tere gham ka angara hai

    KHajil ho kar meri anjhuwan ki jhaD sen abr pani ho

    taDapna dekh kar dil ka hamara barq haara hai

    hamein to raat din dil sin tumhaari yaad hai pyare

    tuman nen is qadar pyare haman kun kyun bisara hai

    nazar karna karam sin 'abru' pe tum kun lazim hai

    kisi laeq nahin to kya hua aaKHir tumhaara hai

    Source:

    Deewan-e-Aabro (Pg. 253)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now