nind jholi mein liye wasl-ghaDi aati hai
niiñd jholī meñ liye vasl-ghaḌī aatī hai
yā'nī ḳhvāboñ meñ mire ab bhī koī aatī hai
'ishq to ḳhair na pahlā thā na duujā tujh se
phir bhī ai dost tirī yaad baḌī aatī hai
us ne ye kah ke ham aisoñ kī zabāñ-bandī kī
bahs karne se mohabbat meñ kamī aatī hai
vo mujhe chhoḌ to saktā hai magar jāntā hai
dhuup meñ lī ga.ī tasvīr burī aatī hai
pahle ham dhyān se chalte haiñ zamīñ par barsoñ
phir kahīñ jā ke ye be-rāh-ravī aatī hai
maiñ use toḌ ke bas jaan bachā luuñ apnī
vo rivāyat jo zamāne se chalī aatī hai
ik tirā ġham hai ki tanhā nahīñ hone detā
ik tirī yaad hai sakhiyoñ meñ ghirī aatī hai
haa.e vo din ki tire ġham se nahīñ thī fursat
ab kabhī baiTh ke sochūñ to hañsī aatī hai
nind jholi mein liye wasl-ghaDi aati hai
ya'ni KHwabon mein mere ab bhi koi aati hai
'ishq to KHair na pahla tha na duja tujh se
phir bhi ai dost teri yaad baDi aati hai
us ne ye kah ke hum aison ki zaban-bandi ki
bahs karne se mohabbat mein kami aati hai
wo mujhe chhoD to sakta hai magar jaanta hai
dhup mein li gai taswir buri aati hai
pahle hum dhyan se chalte hain zamin par barson
phir kahin ja ke ye be-rah-rawi aati hai
main use toD ke bas jaan bacha lun apni
wo riwayat jo zamane se chali aati hai
ek tera gham hai ki tanha nahin hone deta
ek teri yaad hai sakhiyon mein ghiri aati hai
hae wo din ki tere gham se nahin thi fursat
ab kabhi baiTh ke sochun to hansi aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.