nind se Khaali nind hui hai KHwab se Khaali KHwab

nind se Khaali nind hui hai KHwab se Khaali KHwab
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
niiñd se ḳhālī niiñd huī hai ḳhvāb se ḳhālī ḳhvāb
in āñkhoñ ne dekh liye kin āñkhoñ ke mahtāb
dekhte-dekhte dil kī hālat kaisī badal ga.ī
kaise chehroñ meñ tahlīl hue haiñ surḳh gulāb
sāhil kī miTTī ho kar bhī bujhī na apnī pyaas
dariyā koī upaa.e ki jis se ham ho.veñ sairāb
manzar aur pas-manzar apnī apnī asl meñ the
tum hī apnī āñkheñ kar ke baiThe rahe ḳharāb
sūkhā huā daraḳht vujūd meñ ek numūd hī hai
aise hī 'sānī'-e-sahrā ko jaano shādāb
nind se KHali nind hui hai KHwab se KHali KHwab
in aankhon ne dekh liye kin aankhon ke mahtab
dekhte-dekhte dil ki haalat kaisi badal gai
kaise chehron mein tahlil hue hain surKH gulab
sahil ki miTTi ho kar bhi bujhi na apni pyas
dariya koi upae ki jis se hum howen sairab
manzar aur pas-manzar apni apni asl mein the
tum hi apni aankhen kar ke baiThe rahe KHarab
sukha hua daraKHt wujud mein ek numud hi hai
aise hi 'sani'-e-sahra ko jaano shadab
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 92)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.