Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikalne ko hai dam mera magar hai aarzu baqi

Qamar Hilali

nikalne ko hai dam mera magar hai aarzu baqi

Qamar Hilali

MORE BYQamar Hilali

    nikalne ko hai dam merā magar hai aarzū baaqī

    mileñge ḳhaak meñ lekin rahegī justujū baaqī

    maiñ apnā raaz kahne ko bulāyā thā tujhe hamdam

    magar afsos maiñ rah sakā aur hai na baaqī

    ye duniyā miTne vaalī hai to phir is par bharosa kyā

    fanā ho jā.eñge saare rahegā baaqī

    kirāman-kātibīñ kar ye izrā.īl se kahnā

    Thahar jaao abhī kuchh yaar se hai guftugū baaqī

    vuzū zāhid āb-e-jū se aur merā hai aañsū se

    vuzū bah jā.egā us rahe merā vuzū baaqī

    tahārat jism go ho ga.ī hai ġhusl-e-zāhir se

    safā.ī ke liye dil abhī hai shust-o-shū baaqī

    jalā kar ātish-e-furqat ne dil ḳhaak uḌaa.ī hai

    nahīñ siine meñ kuchh baaqī magar hai ek baaqī

    hilālī kar diyā ne 'qamar' ko ek chullū meñ

    rahe mahshar talak saaqī tirā jām-o-subū baaqī

    nikalne ko hai dam mera magar hai aarzu baqi

    milenge KHak mein lekin rahegi justuju baqi

    main apna raaz kahne ko bulaya tha tujhe hamdam

    magar afsos main hi rah saka aur hai na tu baqi

    ye duniya miTne wali hai to phir is par bharosa kya

    fana ho jaenge sare rahega tu hi tu baqi

    kiraman-katibin ja kar ye izrail se kahna

    Thahar jao abhi kuchh yar se hai guftugu baqi

    wuzu zahid ka aab-e-ju se aur mera hai aansu se

    wuzu bah jaega us ka rahe mera wuzu baqi

    tahaarat jism ki go ho gai hai ghusl-e-zahir se

    safai ke liye dil ki abhi hai shust-o-shu baqi

    jala kar aatish-e-furqat ne dil ki KHak uDai hai

    nahin sine mein kuchh baqi magar hai ek hu baqi

    hilali kar diya tu ne 'qamar' ko ek chullu mein

    rahe mahshar talak saqi tera jam-o-subu baqi

    Source:

    Bayaz-e-Ashiqan (Pg. 96)

    • Author: Qamar Hilali
      • Publisher: Taj Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1916
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now