nikhat gulon mein KHub hai farhat nahin rahi
nik.hat guloñ meñ ḳhuub hai farhat nahīñ rahī
ḳhushiyoñ ko kyā huā ki masarrat nahīñ rahī
ye kah ke chheḌtā hai mirā dil dimāġh ko
sunte haiñ tujh ko us se mohabbat nahīñ rahī
ye faqr hai ki dard kī daulat ga.ī hai aur
ye dard bhī nahīñ ki vo daulat nahīñ rahī
sach to ye hai ki mujh ko hī marne kā shauq thā
hālat mirī ye us kī badaulat nahīñ rahī
chhoḌe ga.e haiñ qaid se āzād kab hue
itnā hī bas huā ki hirāsat nahīñ rahī
paḌhtā rahā vo mujh ko mirā kar ke tarjuma
kyā jāntā ki asl 'ibārat nahīñ rahī
ik 'arsa-e-sharār thā hastī kā ye safar
aisī to kuchh tavīl masāfat nahīñ rahī
nikhat gulon mein KHub hai farhat nahin rahi
KHushiyon ko kya hua ki masarrat nahin rahi
ye kah ke chheDta hai mera dil dimagh ko
sunte hain tujh ko us se mohabbat nahin rahi
ye faqr hai ki dard ki daulat gai hai aur
ye dard bhi nahin ki wo daulat nahin rahi
sach to ye hai ki mujh ko hi marne ka shauq tha
haalat meri ye us ki badaulat nahin rahi
chhoDe gae hain qaid se aazad kab hue
itna hi bas hua ki hirasat nahin rahi
paDhta raha wo mujh ko mera kar ke tarjuma
kya jaanta ki asl 'ibarat nahin rahi
ek 'arsa-e-sharar tha hasti ka ye safar
aisi to kuchh tawil masafat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.