Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab

Ahmad Husain Mail

nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab

Ahmad Husain Mail

MORE BYAhmad Husain Mail

    niklī jo ruuh ho ga.e ajzā-e-tan ḳharāb

    ik sham' bujh ga.ī to huī anjuman ḳharāb

    kyuuñ Dāltā hai ḳhaak ki hogā kafan ḳharāb

    maiñ huuñ safed-posh na kar pairahan ḳharāb

    meñ ye hai ki dil ko sajde kyā karūñ

    dair-o-haram meñ log haiñ ai jān-e-man ḳharāb

    nāzuk diloñ husn hai rañg-e-shikastagī

    phaTne se kab guloñ huā pairahan ḳharāb

    duniyā ne muñh pe Daalā hai parda sarāb

    hote haiñ dauḌ dauḌ ke tishna-dahan ḳharāb

    iblīs se ye kahtā hai lā'nat tauq roz

    aadam ḳharāb sifat mā-o-man ḳharāb

    kyā ḳhushnumā ho ḳhizr baḌhe gar libās-e-umr

    qad se jo ho darāz to ho pairahan ḳharāb

    merā salām-e-ishq alaihis-salām ko

    ḳhusrav idhar ḳharāb udhar kohkan ḳharāb

    yūsuf ke husn ne ye zuleḳhā ko sadā

    lo uñgliyāñ kaTīñ vo hue ta.ana-zan ḳharāb

    gar bas chale to aap phirūñ apne gird meñ

    kā'be ko ke kaun ho ai jān-e-man ḳharāb

    zaḳhmī huā hai naam ko dar-parda husn bhī

    yūsuf ḳhūn-e-gurg se hai pairahan ḳharāb

    va.ada kiyā hai ġhair se aur vo bhī vasl

    kullī karo huzūr huā hai dahan ḳharāb

    ai ḳhāk-e-gor dekh na dhabbā lage kahīñ

    rakh duuñ abhī utaar ke gar ho kafan ḳharāb

    kaisī bhī ho zamīn 'ajab hal hai tab-e-tez

    'mā.il' jo bo.eñ ham na ho tuḳhm-e-suḳhan ḳharāb

    nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab

    ek sham' bujh gai to hui anjuman KHarab

    kyun Dalta hai KHak ki hoga kafan KHarab

    main hun safed-posh na kar pairahan KHarab

    ji mein ye hai ki dil hi ko sajde kya karun

    dair-o-haram mein log hain ai jaan-e-man KHarab

    nazuk dilon ka husn hai rang-e-shikastagi

    phaTne se kab gulon ka hua pairahan KHarab

    duniya ne munh pe Dala hai parda sarab ka

    hote hain dauD dauD ke tishna-dahan KHarab

    iblis se ye kahta hai la'nat ka tauq roz

    aadam KHarab ya sifat ma-o-man KHarab

    kya KHushnuma ho KHizr baDhe gar libas-e-umr

    qad se jo ho daraaz to ho pairahan KHarab

    mera salam-e-ishq alaihis-salam ko

    KHusraw idhar KHarab udhar kohkan KHarab

    yusuf ke husn ne ye zuleKHa ko di sada

    lo ungliyan kaTin wo hue tana-zan KHarab

    gar bas chale to aap phirun apne gird mein

    ka'be ko ja ke kaun ho ai jaan-e-man KHarab

    zaKHmi hua hai nam ko dar-parda husn bhi

    yusuf ka KHun-e-gurg se hai pairahan KHarab

    wada kiya hai ghair se aur wo bhi wasl ka

    kulli karo huzur hua hai dahan KHarab

    ai KHak-e-gor dekh na dhabba lage kahin

    rakh dun abhi utar ke gar ho kafan KHarab

    kaisi bhi ho zamin 'ajab hal hai tab-e-tez

    'mail' jo boen hum na ho tuKHm-e-suKHan KHarab

    Source:

    Deewan-e-Dr.Maiel(Tohfa-e-Dakan) (Pg. 77)

    • Author: Ahmad Husain Mail
      • Edition: 1897
      • Publisher: Matba Mufeed-e-Aam, Agra
      • Year of Publication: 1897
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now