numayan hain meri barbaadiyon ke kuchh nishan ab tak
numayan hain meri barbaadiyon ke kuchh nishan ab tak
Basheeruddin Raaz
MORE BYBasheeruddin Raaz
numāyāñ haiñ mirī barbādiyoñ ke kuchh nishāñ ab tak
paḌī hai sahn-e-gulshan meñ ye ḳhāk-e-āshiyāñ ab tak
ma.āz-allāh ye mujh bekas pe zor-e-āsmāñ ab tak
nasheman kyā milā girtī haiñ dil par bijliyāñ ab tak
diyā thā dard tum ne vo bhī nā-kāfī huā mujh ko
rahī hai dard-o-ġham kī nā-mukammal dāstāñ ab tak
mohabbat ḳhatm hone par bhī baaqī haiñ nishāñ ab tak
mire siine meñ hai ābād ye dard-e-nihāñ ab tak
chaman ko chhoḌ kar jā.ūñ kahāñ maiñ ai chaman vaalo
vahī dushman huā merā rahā jo meherbāñ ab tak
dam-e-āḳhir na aa.e vo ayādat ke liye merī
ta.ajjub hai dil-e-muztar ki haiñ vo bad-gumāñ ab tak
tujhe nīchā dikhātā maiñ kabhī kā nāla-e-dil se
sitam sahtā rahā lekin tire ai āsmāñ ab tak
tirā nām-e-mubārak hai zabāñ par marne vaale kī
tujhe bhūlā nahīñ hai be-ḳhudī meñ meherbāñ ab tak
kisī ke husn kī hotī hai muddat se kasak dil meñ
magar samjhe nahīñ ai 'rāz' ye rāz-e-nihāñ ab tak
numayan hain meri barbaadiyon ke kuchh nishan ab tak
paDi hai sahn-e-gulshan mein ye KHak-e-ashiyan ab tak
maaz-allah ye mujh bekas pe zor-e-asman ab tak
nasheman kya mila girti hain dil par bijliyan ab tak
diya tha dard tum ne wo bhi na-kafi hua mujh ko
rahi hai dard-o-gham ki na-mukammal dastan ab tak
mohabbat KHatm hone par bhi baqi hain nishan ab tak
mere sine mein hai aabaad ye dard-e-nihan ab tak
chaman ko chhoD kar jaun kahan main ai chaman walo
wahi dushman hua mera raha jo meherban ab tak
dam-e-aKHir na aae wo ayaadat ke liye meri
tajjub hai dil-e-muztar ki hain wo bad-guman ab tak
tujhe nicha dikhata main kabhi ka nala-e-dil se
sitam sahta raha lekin tere ai aasman ab tak
tera nam-e-mubarak hai zaban par marne wale ki
tujhe bhula nahin hai be-KHudi mein meherban ab tak
kisi ke husn ki hoti hai muddat se kasak dil mein
magar samjhe nahin ai 'raaz' ye raaz-e-nihan ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.