nur barsega raat bhar chhat par
nuur barsegā raat bhar chhat par
aaj aa.egā vo nazar chhat par
kaash ham bhiig jaa.eñ bārish meñ
aur vo bhī ho tar-ba-tar chhat par
sahmā sahmā sā dekhtā huuñ maiñ
aur aatī hai vo niDar chhat par
din Dhale dūdhiyā ujālā hai
lag ga.ī aag is qadar chhat par
dekh kar us ko muñh chhupā letā
chāñd hotā kahīñ agar chhat par
nur barsega raat bhar chhat par
aaj aaega wo nazar chhat par
kash hum bhig jaen barish mein
aur wo bhi ho tar-ba-tar chhat par
sahma sahma sa dekhta hun main
aur aati hai wo niDar chhat par
din Dhale dudhiya ujala hai
lag gai aag is qadar chhat par
dekh kar us ko munh chhupa leta
chand hota kahin agar chhat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.