pani pani baadal hote rahte hain
paanī paanī bādal hote rahte haiñ
hone vaale pāgal hote rahte haiñ
āñkhoñ kī apnī majbūrī hotī hai
lekin rusvā kājal hote rahte haiñ
'umr sabhī ko raste par le aatī hai
ūbaḌ-khābaḌ samtal hote rahte haiñ
us kī photo chaurāhe se haTvā do
dekhne vaale bekal hote rahte haiñ
is duniyā meñ kyā kyā hotā rahtā hai
ham to soch ke pāgal hote rahte haiñ
pani pani baadal hote rahte hain
hone wale pagal hote rahte hain
aankhon ki apni majburi hoti hai
lekin ruswa kajal hote rahte hain
'umr sabhi ko raste par le aati hai
ubaD-khabaD samtal hote rahte hain
us ki photo chaurahe se haTwa do
dekhne wale bekal hote rahte hain
is duniya mein kya kya hota rahta hai
hum to soch ke pagal hote rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.