pani par ek phul ugaya us pe sajai titli
paanī par ik phuul ugāyā us pe sajā.ī titlī
ik tālāb meñ baaġh banāyā biich bi.Thā.ī titlī
Tahnī Tahnī toḌ rahā thā jab ye surḳh gulāb
kyā us vaqt zarā bhī tujh ko yaad na aa.ī titlī
maiñ ne 'ishq kī bel lagā.ī us par ugā.īñ kaliyāñ
kaliyāñ phuul banīñ to aa kar us ne uḌaa.ī titlī
is ke lams se zard hue jaate haiñ surḳh gulāb
kaisī pyaas bujhāne aa.ī hai sahrā.ī titlī
pūchhā thā darvesh se maiñ ne pyaar hai kyā aur us ne
kāġhaz par ik phuul banāyā saath banā.ī titlī
gulshan gulshan us kā pīchhā kartā phire hai bhañvrā
apnī baas se phūloñ ne aise mahkā.ī titlī
sat-rangī kirnoñ kī jhilmil pattī pattī os
phuul palang pe leT ke 'āsim' dhuup nahā.ī titlī
pani par ek phul ugaya us pe sajai titli
ek talab mein bagh banaya bich biThai titli
Tahni Tahni toD raha tha jab ye surKH gulab
kya us waqt zara bhi tujh ko yaad na aai titli
main ne 'ishq ki bel lagai us par ugain kaliyan
kaliyan phul banin to aa kar us ne uDai titli
is ke lams se zard hue jate hain surKH gulab
kaisi pyas bujhane aai hai sahrai titli
puchha tha darwesh se main ne pyar hai kya aur us ne
kaghaz par ek phul banaya sath banai titli
gulshan gulshan us ka pichha karta phire hai bhanwra
apni bas se phulon ne aise mahkai titli
sat-rangi kirnon ki jhilmil patti patti os
phul palang pe leT ke 'asim' dhup nahai titli
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 108)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.