pani Thahra Thahra hoga
paanī Thahrā Thahrā hogā
dariyā shānt guzartā hogā
us ko dekhe barsoñ guzre
jaane vo ab kaisā hogā
halke piile rang kā kapḌā
us par kitnā jachtā hogā
ab aa.e ho to ruk jaao
jaane phir kab milnā hogā
ḳhushiyāñ sab kī sāñjhī hoñgī
dukh to apnā apnā hogā
kitnī akelī rāheñ hoñgī
jab duniyā se chalnā hogā
pani Thahra Thahra hoga
dariya shant guzarta hoga
us ko dekhe barson guzre
jaane wo ab kaisa hoga
halke pile rang ka kapDa
us par kitna jachta hoga
ab aae ho to ruk jao
jaane phir kab milna hoga
KHushiyan sab ki sanjhi hongi
dukh to apna apna hoga
kitni akeli rahen hongi
jab duniya se chalna hoga
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 91)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.