paDa hai hijr to aise hi ji lubhate hain
paḌā hai hijr to aise hī jī lubhāte haiñ
ab us ke jaadū badan ke tarāne gaate haiñ
hameñ manā bhī liyā kar ki maan rah jaa.e
ham aise log muravvat meñ ruuTh jaate haiñ
namī to ḳhaak kī tah meñ qiyām kartī hai
ham aise haiñ nahīñ jaisā tumheñ dikhāte haiñ
tum itnī der meñ majbūriyāñ banā lo ki ham
ga.e dinoñ kī rifāqat uThā ke laate haiñ
ham us ke zehn pe ik 'arsa tak savār rahe
so baqiyā 'umr yahī ik ḳhushī manāte haiñ
javān hote hī jis ne bikharnā hotā hai
ham aise ḳhvāb ko apnā lahū pilāte haiñ
paDa hai hijr to aise hi ji lubhate hain
ab us ke jadu badan ke tarane gate hain
hamein mana bhi liya kar ki man rah jae
hum aise log murawwat mein ruTh jate hain
nami to KHak ki tah mein qiyam karti hai
hum aise hain nahin jaisa tumhein dikhate hain
tum itni der mein majburiyan bana lo ki hum
gae dinon ki rifaqat uTha ke late hain
hum us ke zehn pe ek 'arsa tak sawar rahe
so baqiya 'umr yahi ek KHushi manate hain
jawan hote hi jis ne bikharna hota hai
hum aise KHwab ko apna lahu pilate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.