pahle bachpan le gaya phir naujawani le gaya
pahle bachpan le gayā phir naujavānī le gayā
vaqt apne saath sab yādeñ suhānī le gayā
jaane vaalā ghar se saarī shādmānī le gayā
titliyoñ ke rang phūloñ kī javānī le gayā
log us kī baat pe kaise na karte e'tibār
jab gayā bāzār meñ taaza kahānī le gayā
kitne rishtoñ kā taqaddus kitne jazboñ kā ḳhulūs
ye nayā culture ka.ī chīzeñ purānī le gayā
vo mirī tāqat to kyā bantā ḳhizāñ ke daur meñ
haañ mire kamzor lamhoñ kī kahānī le gayā
rāt-bhar vo mere jazboñ ko zabāñ detā rahā
sub.h ko 'arshad' mirī sho'la-bayānī le gayā
pahle bachpan le gaya phir naujawani le gaya
waqt apne sath sab yaaden suhani le gaya
jaane wala ghar se sari shadmani le gaya
titliyon ke rang phulon ki jawani le gaya
log us ki baat pe kaise na karte e'tibar
jab gaya bazar mein taza kahani le gaya
kitne rishton ka taqaddus kitne jazbon ka KHulus
ye naya culture kai chizen purani le gaya
wo meri taqat to kya banta KHizan ke daur mein
han mere kamzor lamhon ki kahani le gaya
raat-bhar wo mere jazbon ko zaban deta raha
subh ko 'arshad' meri sho'la-bayani le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.