pahle bhi tanha the lekin hum ko ilm na tha
pahle bhī tanhā the lekin ham ko 'ilm na thā
tujh se mil kar ham ne tanhā.ī ko pahchānā
bistar aur dīvār hī se bas apnī qurbat thī
vo thā mere saath magar kab mere saath vo thā
khiḌkī ke pardoñ se chhan kar raushniyoñ ke rang
kamre-bhar meñ bikhar ga.e maiñ soyā paḌā rahā
ek zarā sī aahaT hotī maiñ uTh jaatā thā
ab kī baar vo dastak de kar shāyad lauT gayā
dīvāroñ ko dekh ke duniyā bhar kī yaad aa.ī
bistar kī shiknoñ meñ apne ruup kā dhyān kiyā
pahle bhi tanha the lekin hum ko 'ilm na tha
tujh se mil kar hum ne tanhai ko pahchana
bistar aur diwar hi se bas apni qurbat thi
wo tha mere sath magar kab mere sath wo tha
khiDki ke pardon se chhan kar raushniyon ke rang
kamre-bhar mein bikhar gae main soya paDa raha
ek zara si aahaT hoti main uTh jata tha
ab ki bar wo dastak de kar shayad lauT gaya
diwaron ko dekh ke duniya bhar ki yaad aai
bistar ki shiknon mein apne rup ka dhyan kiya
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 49)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.