Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe

Naz Khialvi

pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe

Naz Khialvi

MORE BYNaz Khialvi

    pahle jaisā rañg-e-bām-o-dar nahīñ lagtā mujhe

    ab to apnā ghar bhī apnā ghar nahīñ lagtā mujhe

    lagtī hogī tujh ko bhī merī nazar badlī huī

    terā paikar bhī tirā paikar nahīñ lagtā mujhe

    kyā kahūñ is zulf se vābastagī fā.eda

    ab añdherī raat meñ bhī Dar nahīñ lagtā mujhe

    mujh ko zaḳhmī kar nahīñ saktā koī dast-e-sitam

    maiñ nadī chāñd huuñ patthar nahīñ lagtā mujhe

    sunnat-e-shāh-e-umam huuñ maiñ lazzat-āshnā

    ḳhaak se behtar koī bistar nahīñ lagtā mujhe

    jab se dastār-e-fazīlat paa.ī hai darbār meñ

    jaane shānoñ pe apnā sar nahīñ lagtā mujhe

    haiñ suḳhanvar 'nāz' achchhe aur bhī is daur meñ

    koī 'dānish' magar ham-sar nahīñ lagtā mujhe

    pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe

    ab to apna ghar bhi apna ghar nahin lagta mujhe

    lagti hogi tujh ko bhi meri nazar badli hui

    tera paikar bhi tera paikar nahin lagta mujhe

    kya kahun is zulf se wabastagi ka faeda

    ab andheri raat mein bhi Dar nahin lagta mujhe

    mujh ko zaKHmi kar nahin sakta koi dast-e-sitam

    main nadi ka chand hun patthar nahin lagta mujhe

    sunnat-e-shah-e-umam ka hun main lazzat-ashna

    KHak se behtar koi bistar nahin lagta mujhe

    jab se dastar-e-fazilat pai hai darbar mein

    jaane ki shanon pe apna sar nahin lagta mujhe

    hain suKHanwar 'naz' achchhe aur bhi is daur mein

    koi 'danish' ka magar ham-sar nahin lagta mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now