pahle mujhse kaman li gai thi
pahle mujh se kamān lī ga.ī thī
phir vahī mujh pe taan lī ga.ī thī
ghar bachānā nahīñ chalānā thā
bech kar ghar dukān lī ga.ī thī
ye añgūThī tumhārī uñglī kī
chhoḌ kar do-jahān lī ga.ī thī
be-amāñ kar ke rakh diyā us ne
jis kī ḳhātir amaan lī ga.ī thī
ham ne rakkhā tirā bhram varna
terī nīyat to jaan lī ga.ī thī
pusht-e-ādam meñ baa'd meñ rakkhā
pahle mujh se zabān lī ga.ī thī
dukh kī shiddat se hans paḌā thā 'alī'
jab zamāne kī maan lī ga.ī thī
pahle mujh se kaman li gai thi
phir wahi mujh pe tan li gai thi
ghar bachana nahin chalana tha
bech kar ghar dukan li gai thi
ye anguThi tumhaari ungli ki
chhoD kar do-jahan li gai thi
be-aman kar ke rakh diya us ne
jis ki KHatir aman li gai thi
hum ne rakkha tera bhram warna
teri niyat to jaan li gai thi
pusht-e-adam mein ba'd mein rakkha
pahle mujh se zaban li gai thi
dukh ki shiddat se hans paDa tha 'ali'
jab zamane ki man li gai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.