pahle to lab pe harf-e-talab la ke rah gae
pahle to lab pe harf-e-talab lā ke rah ga.e
phir sādgī-e-shauq pe pachhtā ke rah ga.e
jaane nigāh-e-shauq ne kyā un se kah diyā
vo aaj bazm-e-nāz meñ sharmā ke rah ga.e
dekhī ga.ī na hashr meñ qātil kī bebasī
shikve mirī zabān tak aa aa ke rah ga.e
hoñToñ tak aa sakī na du'ā tark-e-'ishq kī
bā'd-e-namāz haath hī phailā ke rah ga.e
parde harīm-e-nāz ke uTh uTh ke gir ga.e
jalve nigāh-e-shauq tak aa aa ke rah ga.e
shoḳhī bhī thī karam bhī sharārat bhī naaz bhī
kyā jaane kyā nigāh se farmā ke rah ga.e
allah re dasht-e-shauq kī sabr-āzmā.iyāñ
do gaam saath 'aql-o-ḳhirad jā ke rah ga.e
kyūñkar payām-e-shauq pahuñchtā ki nāma-bar
bas āstān-e-yār talak jā ke rah ga.e
dīda-varān-e-‘asr haiñ mahrūm-e-husn-e-yār
yā'nī fareb-e-husn-e-nazar khā ke rah ga.e
soz-e-navā-e-‘soz’ kā 'ālam na pūchhiye
dam-sāz matla'-hā-e-ġhazal gā ke rah ga.e
pahle to lab pe harf-e-talab la ke rah gae
phir sadgi-e-shauq pe pachhta ke rah gae
jaane nigah-e-shauq ne kya un se kah diya
wo aaj bazm-e-naz mein sharma ke rah gae
dekhi gai na hashr mein qatil ki bebasi
shikwe meri zaban tak aa aa ke rah gae
honTon tak aa saki na du'a tark-e-'ishq ki
ba'd-e-namaz hath hi phaila ke rah gae
parde harim-e-naz ke uTh uTh ke gir gae
jalwe nigah-e-shauq tak aa aa ke rah gae
shoKHi bhi thi karam bhi shararat bhi naz bhi
kya jaane kya nigah se farma ke rah gae
allah re dasht-e-shauq ki sabr-azmaiyan
do gam sath 'aql-o-KHirad ja ke rah gae
kyunkar payam-e-shauq pahunchta ki nama-bar
bas aastan-e-yar talak ja ke rah gae
dida-waran-e-‘asr hain mahrum-e-husn-e-yar
ya'ni fareb-e-husn-e-nazar kha ke rah gae
soz-e-nawa-e-‘soz’ ka 'alam na puchhiye
dam-saz matla'-ha-e-ghazal ga ke rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.