Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahli mohabbaton ke zamane guzar gae

Khatir Ghaznavi

pahli mohabbaton ke zamane guzar gae

Khatir Ghaznavi

MORE BYKhatir Ghaznavi

    pahlī mohabbatoñ ke zamāne guzar ga.e

    sāhil pe ret chhoḌ ke dariyā utar ga.e

    terī anā niyāz kirneñ bujhā ga.ī

    jazbe jo dil meñ ubhre the sharminda kar ga.e

    dil fazā.eñ aa ke kabhī ḳhud bhī dekh lo

    tum ne jo daaġh baḳhshe the kyā kyā nikhar ga.e

    tere badan lau meñ karishma numū thā

    ġhunche jo terī sej pe jaage sañvar ga.e

    sadiyoñ meñ chand phuul khile aur samar bane

    lamhoñ meñ āñdhiyoñ ke thapeḌoñ se mar ga.e

    shab bhar badan manāte rahe jashn-e-māhtāb

    aa.ī sahar to jaise añdheroñ se bhar ga.e

    mahfil meñ terī aa.e the lekar nazar pyaas

    mahfil se terī le ke magar chashm-e-tar ga.e

    qatre jur.atoñ ne sadaf se liyā ḳhirāj

    dariyā samundaroñ meñ mile aur mar ga.e

    pahli mohabbaton ke zamane guzar gae

    sahil pe ret chhoD ke dariya utar gae

    teri ana niyaz ki kirnen bujha gai

    jazbe jo dil mein ubhre the sharminda kar gae

    dil ki fazaen aa ke kabhi KHud bhi dekh lo

    tum ne jo dagh baKHshe the kya kya nikhar gae

    tere badan ki lau mein karishma numu ka tha

    ghunche jo teri sej pe jage sanwar gae

    sadiyon mein chand phul khile aur samar bane

    lamhon mein aandhiyon ke thapeDon se mar gae

    shab bhar badan manate rahe jashn-e-mahtab

    aai sahar to jaise andheron se bhar gae

    mahfil mein teri aae the lekar nazar ki pyas

    mahfil se teri le ke magar chashm-e-tar gae

    qatre ki juraton ne sadaf se liya KHiraj

    dariya samundaron mein mile aur mar gae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    pahli mohabbaton ke zamane guzar gae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now