pakDa gaya main zauq-e-tamasha ke zor mein
pakḌā gayā maiñ zauq-e-tamāshā ke zor meñ
hotā hai yuuñ bhī farq 'zafar' chor chor meñ
aayā thā ghar se ek jhalak dekhne tirī
maiñ kho ke rah gayā tire bachchoñ ke shor meñ
zanjīr sī banī huī bāloñ ke us taraf
tasvīr sī tanī huī āñkhoñ kī or meñ
ik raaz thā chamakte hue surḳh rang kā
sangīn Cornice pe dhare sabz mor meñ
guzrūñgā us ke jism ke jangal se kis tarah
ātish bharī huī hai mirī por por meñ
bikhre huoñ ko motiyoñ kī tarh ai 'zafar'
kis ne piro diyā hai kisī Dar kī Dor meñ
pakDa gaya main zauq-e-tamasha ke zor mein
hota hai yun bhi farq 'zafar' chor chor mein
aaya tha ghar se ek jhalak dekhne teri
main kho ke rah gaya tere bachchon ke shor mein
zanjir si bani hui baalon ke us taraf
taswir si tani hui aankhon ki or mein
ek raaz tha chamakte hue surKH rang ka
sangin Cornice pe dhare sabz mor mein
guzrunga us ke jism ke jangal se kis tarah
aatish bhari hui hai meri por por mein
bikhre huon ko motiyon ki tarh ai 'zafar'
kis ne piro diya hai kisi Dar ki Dor mein
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 47)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.