palaT palaT ke main apne pe KHud hi war karun
palaT palaT ke maiñ apne pe ḳhud hī vaar karūñ
vo merī zad meñ khaḌā hai maiñ kyā shikār karūñ
gharoñ pe ḳhuun chhiḌaktī havā meñ guzrī haiñ
ibādatoñ ko ginūñ yā gunah shumār karūñ
dhueñ ke phuul muñDeroñ pe roz khilte haiñ
maiñ kyā rutoñ ke taġhayyur pe e'tibār karūñ
parinde jab bhī baseroñ ko lauTte dekhūñ
maiñ ghar meñ baiTh ke apnā bhī intizār karūñ
maiñ shab ko tairte tāroñ se ḳhauf khā jā.ūñ
maiñ din ko Dūbte tinkoñ pe inhisār karūñ
palaT palaT ke main apne pe KHud hi war karun
wo meri zad mein khaDa hai main kya shikar karun
gharon pe KHun chhiDakti hawa mein guzri hain
ibaadaton ko ginun ya gunah shumar karun
dhuen ke phul munDeron pe roz khilte hain
main kya ruton ke taghayyur pe e'tibar karun
parinde jab bhi baseron ko lauTte dekhun
main ghar mein baiTh ke apna bhi intizar karun
main shab ko tairte taron se KHauf kha jaun
main din ko Dubte tinkon pe inhisar karun
- Book : siip (Magzin) (Pg. 249)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.