palkon pe ashk-e-gham se charaghan kiye hue
palkoñ pe ashk-e-ġham se charāġhāñ kiye hue
ham haiñ tumhārī diid kā sāmāñ kiye hue
bazm-e-jahāñ ko haiñ vo daraḳhshāñ kiye hue
har rang-o-bū meñ ḳhud ko numāyāñ kiye hue
ham kyā Dareñge gardish-e-lail-o-nahār se
ham haiñ tavāf-e-kūcha-e-jānāñ kiye hue
ik din nasīb hogī mujhe manzil-e-hayāt
zauq-e-talab hai raah ko āsāñ kiye hue
duniyā pe ab nigāh jame bhī to kyā jame
husn-o-jamāl-e-dost hai hairāñ kiye hue
manzūr qaid-e-ġham se rihā.ī nahīñ hameñ
ham ḳhud haiñ apne qalb ko zindāñ kiye hue
us ne bhī apne chehre se parda uThā diyā
dekhā hameñ jo chaak garebāñ kiye hue
duniyā kī zulmatoñ ko maiñ baḳhshūñgā raushnī
dil meñ huuñ sham’-e-‘ishq farozāñ kiye hue
dil mutma.in hai aap kī nisbat ke faiz se
hālāt-e-zindagī haiñ pareshāñ kiye hue
'sādiq' hamārī zaat hai ā.īna-e-vafā
ham haiñ jahān-e-'ishq kā sāmāñ kiye hue
palkon pe ashk-e-gham se charaghan kiye hue
hum hain tumhaari did ka saman kiye hue
bazm-e-jahan ko hain wo daraKHshan kiye hue
har rang-o-bu mein KHud ko numayan kiye hue
hum kya Darenge gardish-e-lail-o-nahaar se
hum hain tawaf-e-kucha-e-jaanan kiye hue
ek din nasib hogi mujhe manzil-e-hayat
zauq-e-talab hai rah ko aasan kiye hue
duniya pe ab nigah jame bhi to kya jame
husn-o-jamal-e-dost hai hairan kiye hue
manzur qaid-e-gham se rihai nahin hamein
hum KHud hain apne qalb ko zindan kiye hue
us ne bhi apne chehre se parda uTha diya
dekha hamein jo chaak gareban kiye hue
duniya ki zulmaton ko main baKHshunga raushni
dil mein hun sham’-e-‘ishq farozan kiye hue
dil mutmain hai aap ki nisbat ke faiz se
haalat-e-zindagi hain pareshan kiye hue
'sadiq' hamari zat hai aaina-e-wafa
hum hain jahan-e-'ishq ka saman kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.