Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parakh faza ki hawa ka jise hisab bhi hai

Kanval Ziai

parakh faza ki hawa ka jise hisab bhi hai

Kanval Ziai

MORE BYKanval Ziai

    parakh fazā havā jise hisāb bhī hai

    vo shaḳhs sāhab-e-fan bhī hai kāmyāb bhī hai

    jo ruup aa.ī ko achchhā lage vo apnā leñ

    hamārī shaḳhsiyat kāñTā bhī hai gulāb bhī hai

    hamārā ḳhuun rishta hai sarhadoñ nahīñ

    hamāre ḳhuun meñ gangā bhī hai chanāb bhī hai

    hamārā daur añdheroñ daur hai lekin

    hamāre daur muTThī meñ āftāb bhī hai

    kisī ġharīb roTī pe apnā naam na likh

    kisī ġharīb roTī meñ inqilāb bhī hai

    mirā savāl koī 'aam savāl nahīñ

    mirā savāl tirī baat javāb bhī hai

    isī zamīn pe haiñ āḳhirī qadam apne

    isī zamīn meñ boyā huā shabāb bhī hai

    parakh faza ki hawa ka jise hisab bhi hai

    wo shaKHs sahab-e-fan bhi hai kaamyab bhi hai

    jo rup aai ko achchha lage wo apna len

    hamari shaKHsiyat kanTa bhi hai gulab bhi hai

    hamara KHun ka rishta hai sarhadon ka nahin

    hamare KHun mein ganga bhi hai chanab bhi hai

    hamara daur andheron ka daur hai lekin

    hamare daur ki muTThi mein aaftab bhi hai

    kisi gharib ki roTi pe apna nam na likh

    kisi gharib ki roTi mein inqilab bhi hai

    mera sawal koi 'am sa sawal nahin

    mera sawal teri baat ka jawab bhi hai

    isi zamin pe hain aaKHiri qadam apne

    isi zamin mein boya hua shabab bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now