parde harim-e-dil ke uThae hue se hain

parde harim-e-dil ke uThae hue se hain
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
parde harīm-e-dil ke uThā.e hue se haiñ
ab ḳhud vo mere sāmne aa.e hue se haiñ
kyā lutf hai ki aap hoñ apne se be-ḳhabar
mujh ko vo ḳhud mujhī se chhupā.e hue se haiñ
'ālam tamām 'aks hai un ke jamāl kā
jalve ye sab unhīñ ke dikhā.e hue se haiñ
īmān ho ki jaan hameñ is se bahs kyā
har kā.enāt un pe luTā.e hue se haiñ
vāraftagān-e-'ishq kī vāraftagī na pūchh
behosh ho ke hosh meñ aa.e hue se haiñ
allah re un ke husn kī ḳhātir-farebiyāñ
dīvāna apnā sab ko banā.e hue se haiñ
bahr-e-du’ā uThā.eñ vo ab haath kis liye
jo zindagī se haath uThā.e hue se haiñ
rahmat ḳhudā kī tujh pe ho ai 'ishq-e-ḳhud-fareb
ham bhī tire fareb meñ aa.e hue se haiñ
chupke hī chupke maar rahe haiñ diloñ pe tiir
zāhir meñ jo nigāh jhukā.e hue se haiñ
ai justujū-e-yār ye kyā haal kar diyā
kho.e hue se ham haiñ na paa.e hue se haiñ
un ke diloñ ke dard kā ab pūchhnā hī kyā
jo ḳhud hī dil ko dard banā.e hue se haiñ
āġhosh-e-shauq donoñ taraf se hai vā 'junūñ'
vo ham meñ aur ham un meñ samā.e hue se haiñ
parde harim-e-dil ke uThae hue se hain
ab KHud wo mere samne aae hue se hain
kya lutf hai ki aap hon apne se be-KHabar
mujh ko wo KHud mujhi se chhupae hue se hain
'alam tamam 'aks hai un ke jamal ka
jalwe ye sab unhin ke dikhae hue se hain
iman ho ki jaan hamein is se bahs kya
har kaenat un pe luTae hue se hain
waraftagan-e-'ishq ki waraftagi na puchh
behosh ho ke hosh mein aae hue se hain
allah re un ke husn ki KHatir-farebiyan
diwana apna sab ko banae hue se hain
bahr-e-du’a uThaen wo ab hath kis liye
jo zindagi se hath uThae hue se hain
rahmat KHuda ki tujh pe ho ai 'ishq-e-KHud-fareb
hum bhi tere fareb mein aae hue se hain
chupke hi chupke mar rahe hain dilon pe tir
zahir mein jo nigah jhukae hue se hain
ai justuju-e-yar ye kya haal kar diya
khoe hue se hum hain na pae hue se hain
un ke dilon ke dard ka ab puchhna hi kya
jo KHud hi dil ko dard banae hue se hain
aaghosh-e-shauq donon taraf se hai wa 'junun'
wo hum mein aur hum un mein samae hue se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.