parinda phir safar par ja raha hai
parinda phir safar par jā rahā hai
shajar par hijr kā mausam huā hai
vo apnī zaat se bāhar nikal kar
jahāñ meñ mārā-mārā phir rahā hai
in āñkhoñ ne to manzar qaid rakkhe
tirā chehra magar dhuñdlā gayā hai
mahakte hī nahīñ shafqat se āñgan
du'ā kā phuul kyā murjhā gayā hai
salāmat hai abhī tak shahr apnā
ye apne aap meñ ik hādisa hai
usī lamhe ko ho jaanā hai hāsil
vo ik lamha jo hone se varā hai
hamāre vāste hone kī sūrat
vahī hai jo nahīñ ab tak huā hai
badal kar bhes phir dariyā kā 'sānī'
samundar apne andar lauTtā hai
parinda phir safar par ja raha hai
shajar par hijr ka mausam hua hai
wo apni zat se bahar nikal kar
jahan mein mara-mara phir raha hai
in aankhon ne to manzar qaid rakkhe
tera chehra magar dhundla gaya hai
mahakte hi nahin shafqat se aangan
du'a ka phul kya murjha gaya hai
salamat hai abhi tak shahr apna
ye apne aap mein ek hadisa hai
usi lamhe ko ho jaana hai hasil
wo ek lamha jo hone se wara hai
hamare waste hone ki surat
wahi hai jo nahin ab tak hua hai
badal kar bhes phir dariya ka 'sani'
samundar apne andar lauTta hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 58)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.