parinde ko bharam hai uD raha hai
parinde ko bharam hai uḌ rahā hai
uḌāne vaalā koī dūsrā hai
ġharaz kī Dor se lipTe haiñ varna
jahāñ meñ kaun kis ko chāhtā hai
unheñ bas bhuul hī sakte nahīñ ham
agarche bhūlne kā qā'eda hai
bhalā is dil sā paajī kaun hogā
hamāre saath hai aur lāpata hai
bharosa toḌne vaalā yahāñ par
'ajab hai ki bharosa chāhtā hai
hamāre ḳhātme kā sochnā hī
tumhāre ḳhātme kī ibtidā hai
yaqīnan rāste to haiñ ka.ī par
ḳhamoshī rāstoñ kā rāstā hai
baḌā mushkil hai kuchh vo DhūñDhnā jo
hamāre paas hai aur kaam kā hai
bhalā vo bādshah kaise banegā
ġhulāmoñ kī tarah jo sochtā hai
agar hai dūsroñ par to hai ghātak
bharosa ḳhud pe hai to kaam kā hai
muqaddar khīñch laaya ham ko varna
ḳhushī se kaun ghar ko chhoḌtā hai
kisī bhī vaar se dushman ko 'kāmil'
nazar-andāz karnā mārtā hai
parinde ko bharam hai uD raha hai
uDane wala koi dusra hai
gharaz ki Dor se lipTe hain warna
jahan mein kaun kis ko chahta hai
unhen bas bhul hi sakte nahin hum
agarche bhulne ka qa'eda hai
bhala is dil sa paji kaun hoga
hamare sath hai aur lapata hai
bharosa toDne wala yahan par
'ajab hai ki bharosa chahta hai
hamare KHatme ka sochna hi
tumhaare KHatme ki ibtida hai
yaqinan raste to hain kai par
KHamoshi raston ka rasta hai
baDa mushkil hai kuchh wo DhunDhna jo
hamare pas hai aur kaam ka hai
bhala wo baadshah kaise banega
ghulamon ki tarah jo sochta hai
agar hai dusron par to hai ghatak
bharosa KHud pe hai to kaam ka hai
muqaddar khinch laya hum ko warna
KHushi se kaun ghar ko chhoDta hai
kisi bhi war se dushman ko 'kaamil'
nazar-andaz karna marta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.