parinde phul jugnu chand tare raqs karte hain
parinde phuul jugnū chāñd taare raqs karte haiñ
jahāñ tum raqs kartī ho nazāre raqs karte haiñ
kahīñ jab zikr aatā hai tumhārā mere she'roñ meñ
qalam kī nok par alfāz saare raqs karte haiñ
havā jab tum ko chhū kar aag se kartī hai aThkhelī
chaTaḳhte khilkhilāte haiñ sharāre raqs karte haiñ
kabhī jab tum ko chhū kar buuñd girtī hai samundar meñ
gale lahroñ se milte haiñ kināre raqs karte haiñ
bachāyā thā mujhe girne se tum ne jis jagah ab bhī
añdhere-muñh vahāñ aa kar sahāre raqs karte haiñ
mujhe taqdīr ne lā kar jahāñ tum se milāyā thā
vahāñ ab bhī muqaddar ke sitāre raqs karte haiñ
tumhārī aañkh se kartī hai merī aañkh jab bāteñ
ishāroñ se lipaTte haiñ ishāre raqs karte haiñ
tumhāre husn kā hotā hai jab bhī tazkira jānāñ
misāleñ jhūmtī haiñ isti'āre raqs karte haiñ
tumheñ chhū kar agar bādal bane ik buuñd paanī bhī
sañvartī hai dhanak rangīn dhāre raqs karte haiñ
tumhāre naam ke pahlū meñ jab likhtā huuñ maiñ 'āsim'
utarte hī varaq par harf saare raqs karte haiñ
parinde phul jugnu chand tare raqs karte hain
jahan tum raqs karti ho nazare raqs karte hain
kahin jab zikr aata hai tumhaara mere she'ron mein
qalam ki nok par alfaz sare raqs karte hain
hawa jab tum ko chhu kar aag se karti hai aThkheli
chaTaKHte khilkhilate hain sharare raqs karte hain
kabhi jab tum ko chhu kar bund girti hai samundar mein
gale lahron se milte hain kinare raqs karte hain
bachaya tha mujhe girne se tum ne jis jagah ab bhi
andhere-munh wahan aa kar sahaare raqs karte hain
mujhe taqdir ne la kar jahan tum se milaya tha
wahan ab bhi muqaddar ke sitare raqs karte hain
tumhaari aankh se karti hai meri aankh jab baaten
ishaaron se lipaTte hain ishaare raqs karte hain
tumhaare husn ka hota hai jab bhi tazkira jaanan
misalen jhumti hain isti'are raqs karte hain
tumhein chhu kar agar baadal bane ek bund pani bhi
sanwarti hai dhanak rangin dhaare raqs karte hain
tumhaare nam ke pahlu mein jab likhta hun main 'asim'
utarte hi waraq par harf sare raqs karte hain
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 55)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.