paron pe kis ke hai teri uDan jaanta hun
paroñ pe kis ke hai terī uḌaan jāntā huuñ
tujhe nahīñ maiñ tirā ḳhāndān jāntā huuñ
na baar baar mirā zabt aazmā zālim
vagarna dūsrī maiñ bhī zabān jāntā huuñ
kabhī diyā nahīñ jis ne salām kā bhī javāb
hai aaj kis liye vo mehrbān jāntā huuñ
na jhūTe ḳhvāb dikhā mujh ko shīsh-mahloñ ke
mire liye hai khulā āsmān jāntā huuñ
tire liye hī bhaTaktā huuñ maiñ yahāñ se vahāñ
vagarna shahr meñ apnā makān jāntā huuñ
paron pe kis ke hai teri uDan jaanta hun
tujhe nahin main tera KHandan jaanta hun
na bar bar mera zabt aazma zalim
wagarna dusri main bhi zaban jaanta hun
kabhi diya nahin jis ne salam ka bhi jawab
hai aaj kis liye wo mehrban jaanta hun
na jhuTe KHwab dikha mujh ko shish-mahlon ke
mere liye hai khula aasman jaanta hun
tere liye hi bhaTakta hun main yahan se wahan
wagarna shahr mein apna makan jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.