pas-e-du’a na rahen kyon udasiyan meri
pas-e-du’ā na raheñ kyoñ udāsiyāñ merī
hijāb haiñ mire muñh par hatheliyāñ merī
mujhe ye Dar hai koī kaaT kar na le jaa.e
bahisht-e-ḳhvāb se bāhar haiñ Tahniyāñ merī
bas itnā hissa hai merā makān-e-hastī meñ
fasīl aur kisī kī hai khiḌkiyāñ merī
abhī na Daal buḌhāpe kī zulmatoñ meñ mujhe
abhī na aur bujhā mom-battiyāñ merī
na jaane kaun mirā kho gayā hai miTTī meñ
zamīñ kuredtī rahtī haiñ uñgliyāñ merī
pas-e-du’a na rahen kyon udasiyan meri
hijab hain mere munh par hatheliyan meri
mujhe ye Dar hai koi kaT kar na le jae
bahisht-e-KHwab se bahar hain Tahniyan meri
bas itna hissa hai mera makan-e-hasti mein
fasil aur kisi ki hai khiDkiyan meri
abhi na Dal buDhape ki zulmaton mein mujhe
abhi na aur bujha mom-battiyan meri
na jaane kaun mera kho gaya hai miTTi mein
zamin kuredti rahti hain ungliyan meri
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 65)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.