past himmat se kahan maraka sar hota hai
past himmat se kahāñ mā'raka sar hotā hai
sar ko Takrāo to dīvār meñ dar hotā hai
apnī hastī se jab apnā hī guzar hotā hai
tai kahīñ tab ye mohabbat kā safar hotā hai
laakh mahrūm rahūñ bā'is-e-yaldā lekin
merī āñkhoñ kā hadaf nūr-e-sahar hotā hai
ye zarūrī to nahīñ she'r kahā bhī jaa.e
she'r paḌhne meñ hī e’jāz-e-hunar hotā hai
zikr apnā bhī muhibbān-o-azīzāñ meñ 'shu’aib'
ho to jaatā hai ba-andāz-e-digar hotā hai
past himmat se kahan ma'raka sar hota hai
sar ko Takrao to diwar mein dar hota hai
apni hasti se jab apna hi guzar hota hai
tai kahin tab ye mohabbat ka safar hota hai
lakh mahrum rahun ba'is-e-yalda lekin
meri aankhon ka hadaf nur-e-sahar hota hai
ye zaruri to nahin she'r kaha bhi jae
she'r paDhne mein hi e’jaz-e-hunar hota hai
zikr apna bhi muhibban-o-azizan mein 'shu’aib'
ho to jata hai ba-andaz-e-digar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.