Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pata jab tak nahin pakka hamara

Surendra Bhatia Salil

pata jab tak nahin pakka hamara

Surendra Bhatia Salil

MORE BYSurendra Bhatia Salil

    pata jab tak nahīñ pakkā hamārā

    vahī manzil vahī rasta hamārā

    hamārī justujū itnī thī us ko

    nahīñ pahchāntā chehra hamārā

    thī jis se aas vo muñh pher baiThā

    nikal paayā nahīñ parcha hamārā

    kahānī sun ke sab uTh rahe the

    kisī ne paḌh liyā chehra hamārā

    abhī bachpan ke kuchh sapne haiñ baaqī

    abhī bhārī hai ye basta hamārā

    hameñ hālāt ne aise nichoḌā

    lahū se ban gayā ḳhāka hamārā

    nazar-andāz karnā paḌā phir

    koī 'āshiq thā bechāra hamārā

    samajhtī thī jo laḌkī ham ko pāgal

    vahī taktī hai ab rasta hamārā

    tumhīñ ne ham ko saudā.ī banāyā

    mohabbat thā nahīñ pesha hamārā

    'salīl' ik 'umr guzrī ab to shāyad

    nahīñ kartā ho vo charchā hamārā

    pata jab tak nahin pakka hamara

    wahi manzil wahi rasta hamara

    hamari justuju itni thi us ko

    nahin pahchanta chehra hamara

    thi jis se aas wo munh pher baiTha

    nikal paya nahin parcha hamara

    kahani sun ke sab uTh hi rahe the

    kisi ne paDh liya chehra hamara

    abhi bachpan ke kuchh sapne hain baqi

    abhi bhaari hai ye basta hamara

    hamein haalat ne aise nichoDa

    lahu se ban gaya KHaka hamara

    nazar-andaz karna hi paDa phir

    koi 'ashiq tha bechaara hamara

    samajhti thi jo laDki hum ko pagal

    wahi takti hai ab rasta hamara

    tumhin ne hum ko saudai banaya

    mohabbat tha nahin pesha hamara

    'salil' ek 'umr guzri ab to shayad

    nahin karta ho wo charcha hamara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now