peD bhi saya-dar rakhta hun
peḌ bhī sāya-dār rakhtā huuñ
dhuup bhī be-shumār rakhtā huuñ
aa.ine meñ kahāñ hai naqs koī
maiñ hī chehre hazār rakhtā huuñ
khodtā rahtā huuñ surang koī
zahr ko tār-tār rakhtā huuñ
din guzar jaa.e raat bhī kaT jaa.e
itnā sā kārobār rakhtā huuñ
tere baare meñ koī raa.e rakhūñ
itnā to iḳhtiyār rakhtā huuñ
merā bhī kuchh hisāb apnā hai
kab kisī kā udhār rakhtā huuñ
peD bhi saya-dar rakhta hun
dhup bhi be-shumar rakhta hun
aaine mein kahan hai naqs koi
main hi chehre hazar rakhta hun
khodta rahta hun surang koi
zahr ko tar-tar rakhta hun
din guzar jae raat bhi kaT jae
itna sa karobar rakhta hun
tere bare mein koi rae rakhun
itna to iKHtiyar rakhta hun
mera bhi kuchh hisab apna hai
kab kisi ka udhaar rakhta hun
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 53)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.