Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phaili hui hai raat chimaT jaana chahiye

Salim Saleem

phaili hui hai raat chimaT jaana chahiye

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    phailī huī hai raat chimaT jaanā chāhiye

    ab apne andarūñ meñ simaT jaanā chāhiye

    ye rishta-hā-e-ḳhvāb hai bas apne darmiyāñ

    is rishta-hā-e-ḳhvāb ko kaT jaanā chāhiye

    dīvār uThā rahā hai koī apne jism par

    to kyā mujhe bhī ḳhānoñ meñ baT jaanā chāhiye

    taqsīm ho ke aur ziyāda huā hai vo

    baḌhne se pahle ham ko bhī ghaT jaanā chāhiye

    ḳhāKī haiñ ham so ḳhaak pardāḳht ke liye

    us malba-e-nigāh se paT jaanā chāhiye

    phaili hui hai raat chimaT jaana chahiye

    ab apne andarun mein simaT jaana chahiye

    ye rishta-ha-e-KHwab hai bas apne darmiyan

    is rishta-ha-e-KHwab ko kaT jaana chahiye

    diwar uTha raha hai koi apne jism par

    to kya mujhe bhi KHanon mein baT jaana chahiye

    taqsim ho ke aur ziyaada hua hai wo

    baDhne se pahle hum ko bhi ghaT jaana chahiye

    KHaKi hain hum so KHak ki pardaKHt ke liye

    us malba-e-nigah se paT jaana chahiye

    Source:

    Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 72)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2017

    Source:

    Wahima Vajood Ka (Pg. 70)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now