phal jae mohabbat to mohabbat hai mohabbat
phal jaa.e mohabbat to mohabbat hai mohabbat
aur raas na aa.e to musībat hai mohabbat
sarmāya-e-dīvana-e-ulfat hai mohabbat
ai ulTe hue dil tirī qīmat hai mohabbat
hai ham hī talak ḳhair ġhanīmat hai mohabbat
ho jaa.e unheñ bhī to qayāmat hai mohabbat
ro ro ke vo pochheñge mirī aañkh se aañsū
ā.eñge vo din bhī jo salāmat hai mohabbat
badnām kiyā laakh tujhe ḳhud-ġharazoñ ne
phir bhī tirī duniyā ko zarūrat hai mohabbat
duniyā kahe kuchh hai magar īmān kī ye baat
hone kī tarah ho to ibādat hai mohabbat
hai jin se un āñkhoñ kī qasam khātā huuñ 'manzar'
mere liye parvāna-e-jannat hai mohabbat
phal jae mohabbat to mohabbat hai mohabbat
aur ras na aae to musibat hai mohabbat
sarmaya-e-diwana-e-ulfat hai mohabbat
ai ulTe hue dil teri qimat hai mohabbat
hai hum hi talak KHair ghanimat hai mohabbat
ho jae unhen bhi to qayamat hai mohabbat
ro ro ke wo pochhenge meri aankh se aansu
aaenge wo din bhi jo salamat hai mohabbat
badnam kiya lakh tujhe KHud-gharazon ne
phir bhi teri duniya ko zarurat hai mohabbat
duniya kahe kuchh hai magar iman ki ye baat
hone ki tarah ho to ibaadat hai mohabbat
hai jin se un aankhon ki qasam khata hun 'manzar'
mere liye parwana-e-jannat hai mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.