phal jab bhi raushni ke shajar ne nahin diya
phal jab bhī raushnī ke shajar ne nahīñ diyā
manzar kashīd kar ke nazar ne nahīñ diyā
ik lamha-e-visāl milā hai to phir use
ham ne tamām 'umr guzarne nahīñ diyā
ik 'ishq hai ki ham ne nibhāyā hai mustaqil
ik zaḳhm hai jise kabhī bharne nahīñ diyā
kyā ho agar ho vaqt kī raftār muḳhtalif
us ne mujhe ye tajraba karne nahīñ diyā
be-jān jism rakh diye masnū'ī saañs par
jo mar rahe the kyoñ unheñ marne nahīñ diyā
'āsim' usī ne bhuuk meñ luqma diyā mujhe
jis ne shadīd ḳhauf meñ Darne nahīñ diyā
phal jab bhi raushni ke shajar ne nahin diya
manzar kashid kar ke nazar ne nahin diya
ek lamha-e-visal mila hai to phir use
hum ne tamam 'umr guzarne nahin diya
ek 'ishq hai ki hum ne nibhaya hai mustaqil
ek zaKHm hai jise kabhi bharne nahin diya
kya ho agar ho waqt ki raftar muKHtalif
us ne mujhe ye tajraba karne nahin diya
be-jaan jism rakh diye masnu'i sans par
jo mar rahe the kyon unhen marne nahin diya
'asim' usi ne bhuk mein luqma diya mujhe
jis ne shadid KHauf mein Darne nahin diya
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 138)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.