phal ka itna to dam hai hi nahin
phal kā itnā to daam hai hī nahīñ
sirf guThlī hai aam hai hī nahīñ
ab sunā.ūñ maiñ she'r 'ġhālib' ke
itnī qābil 'avām hai hī nahīñ
aaj hairat meñ haiñ jo kahte the
tere bas kā ye kaam hai hī nahīñ
jis meñ mahbūb milne aayā ho
us se achchhī to shaam hai hī nahīñ
'umr biitī to ye samajh aayā
zindagī meñ qiyām hai hī nahīñ
kyoñ kareñ intizār baarī kā
list meñ jab ye naam hai hī nahīñ
dil ko marzī chalānī hai apnī
dil kisī kā ġhulām hai hī nahīñ
aaj 'hassām' haiñ maze hī maze
aaj daftar meñ kaam hai hī nahīñ
phal ka itna to dam hai hi nahin
sirf guThli hai aam hai hi nahin
ab sunaun main she'r 'ghaalib' ke
itni qabil 'awam hai hi nahin
aaj hairat mein hain jo kahte the
tere bas ka ye kaam hai hi nahin
jis mein mahbub milne aaya ho
us se achchhi to sham hai hi nahin
'umr biti to ye samajh aaya
zindagi mein qiyam hai hi nahin
kyon karen intizar bari ka
list mein jab ye nam hai hi nahin
dil ko marzi chalani hai apni
dil kisi ka ghulam hai hi nahin
aaj 'hassam' hain maze hi maze
aaj daftar mein kaam hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.