phenka tha hadson ne to mujhko pachhaD ke
pheñkā thā hādsoñ ne to mujh ko pachhāḌ ke
lekin maiñ uTh khaḌā huā dāman ko jhaaḌ ke
mere 'adū ne aan ke ghere meñ le liyā
sab dost ḳhema-zan rahe pīchhe pahāḌ ke
maiñ ne junūñ kī hiddateñ siine meñ zabt kiiñ
niklā nahīñ huuñ ghar se maiñ kapḌoñ ko phaaḌ ke
aa kar lagī hai mere hī siine meñ ek dam
golī jo maiñ ne dāġhī thī dushman ko taaḌ ke
socheñ bhī āj-kal haiñ ye merī lahūluhān
jaise darinda bhaag gayā chiir phaaḌ ke
phenka tha hadson ne to mujh ko pachhaD ke
lekin main uTh khaDa hua daman ko jhaD ke
mere 'adu ne aan ke ghere mein le liya
sab dost KHema-zan rahe pichhe pahaD ke
main ne junun ki hiddaten sine mein zabt kin
nikla nahin hun ghar se main kapDon ko phaD ke
aa kar lagi hai mere hi sine mein ek dam
goli jo main ne daghi thi dushman ko taD ke
sochen bhi aaj-kal hain ye meri lahuluhan
jaise darinda bhag gaya chir phaD ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.