phir aaj takiye pe ek TukDa hai tirgi ka
phir aaj takiye pe ek TukḌā hai tīrgī kā
guzishta shab koī ḳhvāb TuuTā hai raushnī kā
ye 'ilm thā hī nahīñ ki ham bhī haiñ dāstāñ meñ
so ham kisī aur ke hue aur vo kisī kā
vo ek laḌkā jo aaj tohfe meñ saa.e degā
aur ek laḌkī qabīla jis kā hai raushnī kā
vo jis karam se gunāhgāroñ ko pūchhte haiñ
zamīñ pe aanā samajh meñ aatā hai aadmī kā
phir aaj takiye pe ek TukDa hai tirgi ka
guzishta shab koi KHwab TuTa hai raushni ka
ye 'ilm tha hi nahin ki hum bhi hain dastan mein
so hum kisi aur ke hue aur wo kisi ka
wo ek laDka jo aaj tohfe mein sae dega
aur ek laDki qabila jis ka hai raushni ka
wo jis karam se gunahgaron ko puchhte hain
zamin pe aana samajh mein aata hai aadmi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.