aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin

Rangin Saadat Yaar Khan

phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin

Rangin Saadat Yaar Khan

MORE BYRangin Saadat Yaar Khan

    phir bahār aa.ī mire sayyād ko parvā nahīñ

    uḌ ke maiñ pahuñchūñ chaman meñ kyā karūñ par nahīñ

    jalā kar ek bosa māñgte haiñ baar se

    aage qismat vo dekheñ haañ kare hai nahīñ

    hasrat o hirmān o yaas o hairat rañj o ta.ab

    kyā kahūñ is hijr meñ kyā kyā hai aur kyā kyā nahīñ

    har kisī se lag chale kyā zikr hai imkān kyā

    ham use pahchānte haiñ ḳhuub vo aisā nahīñ

    chaar unsur ġhazal 'rañgīñ' kaho tum dūsrī

    hai qasam tum ko alī-jī ye mat kahnā nahīñ

    phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin

    uD ke main pahunchun chaman mein kya karun par wa nahin

    ji jala kar ek bosa mangte hain bar se

    aage ya qismat wo dekhen han kare hai ya nahin

    hasrat o hirman o yas o hairat ranj o tab

    kya kahun is hijr mein kya kya hai aur kya kya nahin

    har kisi se lag chale kya zikr hai imkan kya

    hum use pahchante hain KHub wo aisa nahin

    chaar unsur ki ghazal 'rangin' kaho tum dusri

    hai qasam tum ko ali-ji ki ye mat kahna nahin

    Source:

    intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 71)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now